Abrar Ahmad

ye rah-e-ishq hai is rah pe gar jaega tu

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
ye rah-e-ishq hai is raah pe gar jā.egā tū
ek dīvār khaḌī hogī jidhar jā.egā tū
shor-e-duniyā ko to sun rañg-e-rah-e-yār to dekh
ham jahāñ ḳhaak uḌāte haiñ udhar jā.egā tū
dar-ba-dar hai to kahīñ jī nahīñ lagtā hogā
vo bhī din aa.egā thak-hār ke ghar jā.egā tū
āzim-e-hijr-e-musalsal huā is miTTī se
lauT aa.egā yahīñ aur kidhar jā.egā tū
jaan jā.egā ki manzil nahīñ maujūd kahīñ
ḳhush-gumāñ hai abhī sargarm-e-safar jā.egā tū
aarzū rakh use paane kī koī roz abhī
phir yahīñ bām-e-tamannā se utar jā.egā tū
ye jo tūfān tire gird hai dīvāngī kā
ik zarā tez huā aur bikhar jā.egā tū
kārvāñ rad huā aur chup huī āvāz-e-jaras
kyā ab us samt ko tā-hadd-e-nazar jā.egā tū
ab kahāñ ḳhvāb-e-mohabbat ki vo shab duur nahīñ
jab kahīñ ḳhāk-bharī niiñd se bhar jā.egā tū
Top Urdushayar.com