Iqbal Sajid

mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
muuñd kar āñkheñ talāsh-e-bahr-o-bar karne lage
log apnī zaat ke andar safar karne lage
māñjhiyoñ ke giit sun kar aa gayā dariyā ko josh
sāhiloñ pe raqs tezī se bhañvar karne lage
baḌh gayā hai is qadar ab surḳh-rū hone kā shauq
log apne ḳhuun se jismoñ ko tar karne lage
bāñdh de shāḳhoñ se tū miTTī ke phal kāġhaz ke phuul
ye taqāzā raah meñ ujḌe shajar karne lage
gaañv meñ kachche gharoñ kī qīmateñ baḌhne lagīñ
shahr se naql-e-makānī ahl-e-zar karne lage
jaise har chehre kī āñkheñ sar ke pīchhe aa lagīñ
sab ke sab ulTe hī qadmoñ se safar karne lage
ab paḌhe-likkhe bhī 'sājid' aa ke bekārī se tañg
shab ko dīvāroñ pe chaspāñ poster karne lage
Top Urdushayar.com