ik farāmosh kahānī meñ rahā
maiñ jo us aañkh ke paanī meñ rahā
ruḳh se uḌtā huā vo rañg-e-bahār
ek tasvīr purānī meñ rahā
maiñ ki ma.adūm rahā sūrat-e-ḳhvāb
phir kisī yād-dahānī meñ rahā
Dhañg ke ek Thikāne ke liye
ghar-kā-ghar naql-e-makānī meñ rahā
maiñ Thahartā gayā rafta rafta
aur ye dil apnī ravānī meñ rahā
vo mirā naqsh-e-kaf-e-pā-e-talab
ahd-e-rafta kī nishānī meñ rahā
maiñ ki ha.agāma-e-yak-ḳhvāb liye
koī din ālam-e-fānī meñ rahā