Abrar Ahmad

gurezan tha magar aisa nahin tha

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
gurezāñ thā magar aisā nahīñ thā
ye merā ham-safar aisā nahīñ thā
yahāñ mehmāñ bhī aate the havā bhī
bahut pahle ye ghar aisā nahīñ thā
yahāñ kuchh log the un kī mahak thī
kabhī ye rahguzar aisā nahīñ thā
rahā kartā thā jab vo is makāñ meñ
to rañg-e-bām-o-dar aisā nahīñ thā
bas ik dhun thī nibhā jaane kī us ko
gañvāne meñ zarar aisā nahīñ thā
mujhe to ḳhvāb hī lagtā hai ab tak
vo kyā thā vo agar aisā nahīñ thā
paḌegī dekhnī dīvār bhī ab
ki ye sauda-e-sar aisā nahīñ thā
ḳhabar luuñ jā ke us īsā-nafs kī
vo mujh se be-ḳhabar aisā nahīñ thā
na jaane kyā huā hai kuchh dinoñ se
ki maiñ ai chashm-e-tar aisā nahīñ thā
yuuñ hī nimTā diyā hai jis ko tū ne
vo qissa muḳhtasar aisā nahīñ thā
Top Urdushayar.com