kuchh kaam nahīñ hai yahāñ vahshat ke barābar
so tum hameñ ġham do koī himmat ke barābar
kab lagtā hai jī rāh-e-sahūlat meñ hamesha
aur miltā hai kab rañj zarūrat ke barābar
āsā.ish-o-ārām ho yā jāh-o-hasham ho
kyā chiiz yahāñ par hai mohabbat ke barābar
gunjā.ish-e-afsos nikal aatī hai har roz
masrūf nahīñ rahtā huuñ fursat ke barābar
bhar laa.e haiñ ham aañkh meñ rakhne ko muqābil
ik ḳhvāb-e-tamannā tirī ġhaflat ke barābar
rakh deñge tire paañv meñ ham mauj meñ aa kar
duniyā hai kahāñ jaan kī qīmat ke barābar
phir kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ kār-e-ziyāñ hai
jab jiit bhī Thahrī hai hazīmat ke barābar
jiine meñ jo ehsās-e-tafāḳhur hai kahāñ hai
jiite chale jaane kī nadāmat ke barābar