ham ne rakkhā thā jise apnī kahānī meñ kahīñ
ab vo tahrīr hai aurāq-e-ḳhizānī meñ kahīñ
bas ye ik sā.at-e-hijrāñ hai ki jaatī hī nahīñ
koī Thahrā bhī hai is ālam-e-fānī meñ kahīñ
jitnā sāmāñ bhī ikaTThā kiyā is ghar ke liye
bhuul jā.eñge use naql-e-makānī meñ kahīñ
ḳhair auroñ kā to kyā zikr ki ab lagtā hai
tū bhī shāmil hai mire ranj-e-zamānī meñ kahīñ
chashm-e-namnāk ko is darja haqārat se na dekh
tujh ko mil jaanā hai ik din isī paanī meñ kahīñ
markaz-e-jāñ to vahī tū hai magar tere sivā
log haiñ aur bhī is yaad purānī meñ kahīñ
jashn-e-mātam bhī hai raunaq sī tamāshā.ī ko
koī naġhma bhī hai is marsiya-ḳhvānī meñ kahīñ
aaj ke din meñ kisī aur hī din kī hai jhalak
shaam hai aur hī is shaam suhānī meñ kahīñ
kyā samajh aa.e kisī ko mujhe mālūm bhī hai
baat kar jaatā huuñ maiñ apnī ravānī meñ kahīñ