Abrar Ahmad

ye jo sar hum teri chaukhaT se lagae hue hain

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
ye jo sar ham tirī chaukhaT se lagā.e hue haiñ
ye samajh le ki zamāne ke satā.e hue haiñ
ham ne is dil ko kahīñ aur lagāyā huā hai
aur ye haath kahīñ aur uThā.e hue haiñ
tujhe dekhūñ to mujhe yaad ye kaun aatā hai
tū ne ye rañg bhalā kis ke churā.e hue haiñ
kār-e-duniyā ne hameñ mohlat-e-yak-ḳhvāb na dī
so kahīñ kho.e hue haiñ na hī paa.e hue haiñ
ham hī kuchh gosh-bar-āvāz nahīñ the varna
tum ne pahle bhī yahī bol sunā.e hue haiñ
kis liye yaad dilāte ho abhī rahne do
kyā huā ham jo koī baat bhulā.e hue haiñ
kaam jo ham se nahīñ hogā kiye jaate haiñ
ham se uThtā jo nahīñ bojh uThā.e hue haiñ
dekhne kī tujhe kuchh dil meñ hai hasrat bhī abhī
aur ye bhī ki tire shahr meñ aa.e hue haiñ
Top Urdushayar.com