jo bhī yakjā hai bikhartā nazar aatā hai mujhe
jaane yuuñ hai bhī ki aisā nazar aatā hai mujhe
chashm-e-vā meñ to vahī manzar-e-ḳhālī hai jo thā
muuñd luuñ aañkh to kyā kyā nazar aatā hai mujhe
mā.il-e-arz-e-tamannā hai na hai vaqf-e-malāl
ai mire dil tū Thahartā nazar aatā hai mujhe
pas-e-nazzāra koī ḳhvāb-e-gurezāñ hī na ho
dekhne meñ to tamāshā nazar aatā hai mujhe
bāñdh luuñ raḳht-e-safar lauT chalūñ ghar kī taraf
tirī jānib se ishāra nazar aatā hai mujhe
tujhe kyūñkar ho ye ma.alūm mire māh-e-tamām
dāġh-e-dil kaise sitāra nazar aatā hai mujhe
kashti-e-jāñ yahī ik-ādh bhañvar aur hai bas
kahīñ nazdīk kināra nazar aatā hai mujhe
dekhne dekhne meñ farq huā kartā hai
tumhī batlāo ki kaisā nazar aatā hai mujhe