aur kyā rah gayā hai hone ko
ek aañsū nahīñ hai rone ko
ḳhvāb achchhe raheñge an-dekhe
ḳhaak achchhī rahegī sone ko
ye mah-o-sāl chand baaqī haiñ
aur kuchh bhī nahīñ hai khone ko
nā-rasā.ī kā rañj laa.e haiñ
tere dil meñ kahīñ samone ko
chashm-e-nam chaar ashk aur idhar
daaġh ik rah gayā hai dhone ko
baiThne ko jagah nahīñ miltī
kyā kareñ oḌhne-bichhaune ko
tū kahīñ baiTh aur hukm chalā
ham to haiñ terā bojh Dhone ko
yaad bhī terī miT ga.ī dil se
aur kyā rah gayā hai sone ko