kyā jāniye kyā hai had-e-idrāk se aage
bas ḳhaak hai is terī mirī ḳhaak se aage
hai shor-e-fuġhāñ ḳhāmushī-e-marg ke pīchhe
ik tez havā hai ḳhas-o-ḳhāshāk se aage
ham dekhte haiñ aañkh meñ sahme hue aañsū
ik chup hai kahīñ ḳhanda-e-be-bāk se aage
ik rañg sā hai rañg-e-tamannā se mumāsil
ik abr sā hai dīda-e-nam-nāk se aage
maiñ apne kisī ḳhvāb kī muñh-zor havā meñ
aksar hī nikal jaatā huuñ aflāk se aage
kyā shor kareñ girya-e-usshāq se baḌh kar
kyā zor kareñ pairhan-e-chāk se aage