Iqbal Sajid

pyase ke pas raat samundar paDa hua

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
pyāse ke paas raat samundar paḌā huā
karvaT badal rahā thā barābar paḌā huā
bāhar se dekhiye to badan haiñ hare-bhare
lekin lahū kā kaal hai andar paḌā huā
dīvār to hai raah meñ sālim khaḌī huī
saaya hai darmiyān se kaT kar paḌā huā
andar thī jitnī aag vo ThanDī na ho sakī
paanī thā sirf ghaas ke uupar paḌā huā
hāthoñ pe bah rahī hai lakīroñ kī aabjū
qismat kā khet phir bhī hai banjar paḌā huā
ye ḳhud bhī āsmān kī vus.at meñ qaid hai
kyā dekhtā hai chāñd ko chhat par paḌā huā
jaltā hai roz shaam ko ghāTī ke us taraf
din kā charāġh jhiil ke andar paḌā huā
maarā kisī ne sañg to Thokar lagī mujhe
dekhā to āsmāñ thā zamīñ par paḌā huā
Top Urdushayar.com