aur koī jo sune ḳhuun ke aañsū ro.e
achchhī lagtī haiñ magar ham ko tumhārī bāteñ
ham mileñ yā na mileñ phir bhī kabhī ḳhvāboñ meñ
muskurātī huī ā.eñgī hamārī bāteñ
haa.e ab jin pe masarrat kā gumāñ hotā hai
ashk ban jā.eñgī ik roz ye pyārī bāteñ
yaad jab koī dilā.egā sar-e-shām tumheñ
jagmagā uTTheñgī tāroñ meñ hamārī bāteñ
un ko maġhrūr banāyā hai baḌī mushkil se
ā.īna ban ke raheñ kaash hamārī bāteñ
milte milte yūñhī begāne se ho jā.eñge
dekhte dekhte kho jā.eñgī saarī bāteñ
vo bahut socheñ taḌap uTThīñ magar ai 'bāqir'
yaad aa.iiñ to na aa.iiñ ye tumhārī bāteñ