Iqbal Sajid

us aaine mein dekhna hairat bhi aaegi

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
us aa.ine meñ dekhnā hairat bhī aa.egī
ik roz mujh pe us kī tabī.at bhī aa.egī
qadġhan lagā na ashkoñ pe yādoñ ke shahr meñ
hogā agar tamāshā to ḳhilqat bhī aa.egī
maiñ aa.ina banūñgā tū patthar uThā.egā
ik din khulī saḌak pe ye naubat bhī aa.egī
mausam agar hai sard to phir aag taap le
chamkegī aañkh ḳhuuñ meñ harārat bhī aa.egī
kuchh der aur shāḳh pe rahne de sabr kar
pakne de phal ko khāne meñ lazzat bhī aa.egī
āñkheñ haiñ tere paas to phir sat.h-e-āb par
gahrā.ī se ubhar ke ibārat bhī aa.egī
nikleñ charāġh haath meñ le kar gharoñ se log
sūraj kī rah meñ manzil-e-zulmat bhī aa.egī
ye jāntā to kāTtā 'sājid' na saa.e ko
talvār par lahū kī tamāzat bhī aa.egī
Top Urdushayar.com