hūr-o-ġhilmāñ ke talabgār se vāqif maiñ huuñ
sāhab-e-jubba-o-dastār se vāqif maiñ huuñ
shahr meñ aap farishtoñ se bhī baḌh kar Thahre
haañ magar aap ke kirdār se vāqif maiñ huuñ
haq-navā.ī kā samajhtā huuñ ise maiñ in.aam
qaid-o-zindāñ rasan-o-dār se vāqif maiñ huuñ
vo hai majbūr talab se bhī sivā dene par
ḳhūbī-e-jur.at-e-iz.hār se vāqif maiñ huuñ
munsifī chūmtī rahtī hai dar-e-ahl-e-dil
ai adālat tire kirdār se vāqif maiñ huuñ
sar salāmat hai to rauzan bhī banā lūñgā maiñ
habs tere dar-o-dīvār se vāqif maiñ huuñ
kibr-o-naḳhvat kā hai ilzām abas 'anjum' par
us ke iḳhlās se afkār se vāqif maiñ huuñ