Anjum Azimabadi

dhup chhanw zehnon ka aasra nahin rakhte

Anjum Azimabadi

dhuup chhāñv zehnoñ kā aasrā nahīñ rakhte
ham ġharaz ke bandoñ se vāsta nahīñ rakhte
zo.am-e-pārsā.ī meñ kab ḳhayāl hai un ko
tanz to vo karte haiñ aa.ina nahīñ rakhte
sāzisheñ alāmat to past himmatī kī haiñ
sāzisheñ jo karte haiñ hausla nahīñ rakhte
vo ġhurūr-e-taqvā meñ bas yahī samajhte haiñ
jaise hai ḳhudā un kā ham ḳhudā nahīñ rakhte
tum havas-parastoñ ke saiñkaḌoñ ḳhudā Thahre
ek hai ḳhudā apnā dūsrā nahīñ rakhte
kis tarah munavvar ho ḳhāna-e-shu.ūr 'anjum'
zehn ke darīchoñ ko tum khulā nahīñ rakhte
Top Urdushayar.com