Iqbal Sajid

sang-dil hun is qadar aankhen bhigo sakta nahin

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
sañg-dil huuñ is qadar āñkheñ bhigo saktā nahīñ
maiñ ki pathrīlī zamīñ meñ phuul bo saktā nahīñ
lag chuke haiñ dāmanoñ par jitne rusvā.ī ke daaġh
in ko aañsū kyā samundar tak bhī dho saktā nahīñ
ek do dukh hoñ to phir un se karūñ jī-bhar ke pyaar
sab ko siine se lagā luuñ ye to ho saktā nahīñ
terī barbādī pe ab aañsū bahā.ūñ kis liye
maiñ to ḳhud apnī tabāhī par bhī ro saktā nahīñ
jis ne samjhā ho hamesha dostī ko kārobār
dosto vo to kisī kā dost ho saktā nahīñ
ḳhvāhishoñ kī nazr kar duuñ kis liye anmol ashk
kachche dhāgoñ meñ koī motī piro saktā nahīñ
maiñ tire dar kā bhikārī tū mire dar kā faqīr
aadmī is daur meñ ḳhuddār ho saktā nahīñ
mujh ko itnā bhī nahīñ hai surḳh-rū hone kā shauq
be-sabab taaza lahū kī fasl bo saktā nahīñ
yaad ke sho.aloñ pe jaltā hai agar merā badan
oḌh kar phūloñ kī chādar tū bhī so saktā nahīñ
haath jis se kuchh na aa.e us kī ḳhvāhish kyuuñ karūñ
duudh kī mānind maiñ paanī bilo saktā nahīñ
Top Urdushayar.com