tire ḳhayāl se āñkheñ milāne vaalī huuñ
na.e sarūp kā jaadū jagāne vaalī huuñ
maiñ saiñt saiñt ke rakkhe hue lihāfoñ se
tumhāre lams kī garmī churāne vaalī huuñ
use jo dhuup liye dil ke gaañv meñ utrā
rahaT se chaah kā paanī pilāne vaalī huuñ
kaho ki chhāñv mirī ḳhud sameT le aa kar
maiñ ab ghaTā kā prānda hilāne vaalī huuñ
jahāñ pe aam kī guThlī dabī thī bhūbal meñ
vahīñ pe apne dukhoñ ko tapāne vaalī huuñ
is alganī pe akele larazte qatre ko
banā ke 'naināñ' maiñ surma lagāne vaalī huuñ