misāl-e-barg maiñ ḳhud ko uḌānā chāhtī huuñ
havā-e-tund pe maskan banānā chāhtī huuñ
vo jin kī āñkhoñ meñ hotā hai zindagī meñ malāl
usī qabīle se ḳhud ko milānā chāhtī huuñ
jahāñ ke band haiñ sadiyoñ se mujh pe darvāze
maiñ ek baar usī ghar meñ jaanā chāhtī huuñ
sitam-shi.ār kī chaukhaT pe adl kī zanjīr
barā-e-dād-rasī ab hilānā chāhtī huuñ
na-jāne kaise guzārūñgī hijr kī saa.at
ghaḌī ko toḌ ke sab bhuul jaanā chāhtī huuñ
masāfatoñ ko mile manzil-e-talab 'naināñ'
vafā kī raah meñ apnā Thikāna chāhtī huuñ