dard kī niilī rageñ tah se ubhar aatī haiñ
yaad ke zaḳhm meñ chiñgāriyāñ dar aatī haiñ
roz parchhā.iyāñ yādoñ kī parinde ban kar
ghar ke pichhvāḌe ke pīpal pe utar aatī haiñ
sūrateñ bantī haiñ chāhat kī ye kis miTTī se
bārhā miT ke bhī ye bār-e-digar aatī haiñ
uude uude se safūre kī ghanī Tahniyoñ se
yaad kī surma.ī kirneñ sī guzar aatī haiñ
roz khiḌkī se qarīb aam ke us peḌ ke paas
tūtiyāñ choñch meñ le le ke sahar aatī haiñ
ik virāsat kī tarah gaañv kī guḌ sī bāteñ
gaThḌiyāñ bāñdh ke is dil ke nagar aatī haiñ
jitnā bhī chāhūñ dar-e-yār se bach kar niklūñ
tohmateñ itnī ziyāda mire sar aatī haiñ
itnī sī baat pe achchhī nahīñ shorīda-sarī
shaam ko chiḌiyāñ to sab apne hī ghar aatī haiñ
sharm se uljhe dupaTTe kī jo kholūñ girheñ
dil kī 'naināñ' rageñ sab khultī nazar aatī haiñ