roz dekhā hai shafaq se vo pighaltā sonā
roz sochā hai ki tum mere ho mere ho nā
maiñ to ik kāñch ke dariyā meñ bahī jaatī huuñ
khankhanāte hue hamrāz mujhe sun lo nā
maiñ ne kānoñ meñ pahan lī hai tumhārī āvāz
ab mire vāste be-kār haiñ chāñdī sonā
merī ḳhāmoshī ko chupke se sajā do aa kar
ik ġhazal tum bhī mire naam kabhī likkho nā
ruuh meñ giit utar jaate haiñ jaise ḳhushbū
gungunātī sī koī shaam mujhe bhejo nā
chāñdnī os ke qatroñ meñ simaT jā.egī
tīrgī sub.h savere meñ kahīñ kho do nā
phir se āñkhoñ meñ koī rañg sajā luuñ 'naināñ'
kab se ḳhvāboñ ko yahāñ bhuul ga.ī thī bonā