dil se apne ḳhud-ba-ḳhud kuchh pūchhiye mere liye
faisla ab kījiye yā sochiye mere liye
fikr-e-duniyā se na jaane aap kyuuñ haiñ ashk-bār
in musalsal āñsuoñ ko rokiye mere liye
maiñ to kab se muntazir huuñ aap ke ehsān kī
dard kā aahoñ se saudā kījiye mere liye
aap kā lahja shahad jaisā tarannum-ḳhez hai
ḳhāmushī ab toḌiye aur boliye mere liye
aap ko sab log kahte haiñ masīhā ai sanam
zindagī mujh ko bhī de kar dekhiye mere liye