Indira Varma

mohabbat mein aaya hai tanha abhi rang

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
mohabbat meñ aayā hai tanhā abhī rañg
badalne lagī hai magar zindagī rañg
bahāroñ ke āñchal meñ ḳhush-bū chhupī hai
guloñ kī qabā meñ bhare haiñ sabhī rañg
tumhāre binā sab adhūre haiñ jānāñ
sabā phuul ḳhush-bū chaman raushnī rañg
jo bhūle se bachpan meñ pakḌī thī titlī
surūr-e-vafā meñ bhī utrā vahī rañg
na jaane kahāñ se barastī hai bārish
sajātī hai tere agar dilbarī rañg
mile 'indirā' merā paiġhām un ko
liye hai mukammal mirī shā.irī rañg
Top Urdushayar.com