Iqbal Sajid

phenk yun patthar ki sath-e-ab bhi bojhal na ho

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
pheñk yuuñ patthar ki sat.h-e-āb bhī bojhal na ho
naqsh bhī ban jaa.e aur dariyā meñ bhī halchal na ho
khol yuuñ muTThī ki ik jugnū na nikle haath se
aañkh ko aise jhapak lamha koī ojhal na ho
hai safar darpesh to parchhā.īñ kī uñglī pakaḌ
raah meñ tanhā.ī ke ehsās se pāgal na ho
pahlī sīḌhī pe qadam rakh āḳhirī sīḌhī pe aañkh
manziloñ kī justujū meñ rā.egāñ ik pal na ho
zehn ḳhālī ho ga.e haiñ vaqt ke ehsās se
sāmne vo mas.ala rakh jis kā koī hal na ho
sab ke hī sīnoñ meñ hai phailā huā sāñsoñ kā habs
koī shahr aisā nahīñ jis kī fazā bojhal na ho
log akasr apne chehre par chaḌhā lete haiñ ḳhol
tū jise sonā samajhtā hai kahīñ pītal na ho
justujū us peḌ kī kyuuñ ho ki jo saaya na de
haath us Daalī pe kyā pahuñche ki jis par phal na ho
roz-o-shab lagtā rahe sochoñ kā mela zehn meñ
shor se ḳhālī kabhī ehsās kā jañgal na ho
garm kar 'sājid' lahū ko dhīmī dhīmī aañch se
vaqt se pahle tire jazbāt meñ halchal na ho
Top Urdushayar.com