Indira Varma

yun wafa ke sare nibhao gham ki fareb mein bhi yaqin ho

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
yuuñ vafā ke saare nibhāo ġham ki fareb meñ bhī yaqīn ho
koī baat aisī kaho sanam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
ye dayār-e-shīsha-farosh hai yahāñ ā.īnoñ kī bisāt kyā
yahāñ is tarah se rakho qadam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
mirī chāhatoñ meñ ġhurūr ho dil-e-nā-tavāñ meñ surūr ho
tumheñ ab ke khānā hai vo qasam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
yahī baat kah do pukār ke vahī silsile raheñ pyaar ke
isī naaz meñ rahe phir bharam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
mire ishq kā ye meyār ho ki visāl bhī na shumār ho
isī e'tibār pe ho karam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
mire intizār ko kyā ḳhabar tumheñ iḳhtiyār hai is qadar
mujhe do salīqa ye kam se kam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
jahāñ zikr-e-mehr-o-vafā mile vahīñ 'indirā' kā qalam chale
ye kitāb-e-ishq meñ ho raqam ki fareb meñ bhī yaqīn ho
Top Urdushayar.com