mujhe rañg de na surūr de mire dil meñ ḳhud ko utaar de
mire lafz saare mahak uTheñ mujhe aisī koī bahār de
mujhe dhuup meñ tū qarīb kar mujhe saaya apnā nasīb kar
mirī nik.hatoñ ko uruuj de mujhe phuul jaisā vaqār de
mirī bikhrī hālat-e-zār hai na to chain hai na qarār hai
mujhe lams apnā navāz ke mire jism o jaañ ko nikhār de
tirī raah kitnī tavīl hai mirī ziist kitnī qalīl hai
mirā vaqt terā asiir hai mujhe lamha lamha sañvār de
mire dil kī duniyā udaas hai na to hosh hai na havās hai
mire dil meñ aa ke Thahar kabhī mire saath umr guzār de
mirī niind mūnis-e-ḳhvāb kar mirī rat-jagoñ kā hisāb kar
mire naam fasl-e-gulāb kar kabhī aisā mujh ko bhī pyaar de
shab-e-ġham añdherī hai kis qadar karūñ kaise sub.h kā maiñ safar
mire chāñd aa mirī le ḳhabar mujhe raushnī kā hisār de