Indira Varma

shikasta-dil andheri shab akela rahbar kyun ho

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
shikasta-dil añdherī shab akelā rāhbar kyuuñ ho
na ho jab ham-safar koī to apnā bhī safar kyuuñ ho
kisī kī yaad meñ aañsū kā rishta is tarah rakkho
ki dil pahlū agar badle to chehra tar-ba-tar kyuuñ ho
mire hamdam mire dilbar zarā itnā batā denā
koī bedard ho to dard dil meñ is qadar kyuuñ ho
kabhī bhūle se jo paiġhām un kā aayā bhī ik din
judā.ī kī taḌap meñ roz aisā hī asar kyuuñ ho
nashsha āñkhoñ meñ le kar so raho ai jāgne vaalo
agar ye aañkh khul jaa.e to ḳhvāboñ kā guzar kyuuñ ho
pareshāñ raat meñ dil hai charāġh-e-ās kī mānind
shab-e-vāda na aa.e vo to raushan sī sahar kyuuñ ho
musalsal raat din chalnā hai rāh-e-ishq meñ tanhā
kisī ke vāste ye raah āḳhir muḳhtasar kyuuñ ho
mohabbat meñ sunā hai raah dil kī dil se hotī hai
agar yuuñ 'indirā' taḌpe to jānāñ be-ḳhabar kyuuñ ho
Top Urdushayar.com