Indira Varma

dost jab zi-waqar hota hai

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
dost jab zī-vaqār hotā hai
dostī kā meyār hotā hai
ab tasavvur kī suunī vaadī meñ
roz jashn-e-bahār hotā hai
gulshan-e-jāñ meñ un ke aane se
gul-sifat kārobār hotā hai
jab bichhaḌ jaatā hai koī apnā
ġham hī bas rozgār hotā hai
chāñd kā raqs ho rahā hai kahīñ
dil yahāñ se nisār hotā hai
shāḳh-dar-shāḳh hotī hai zaḳhmī
jab parinda shikār hotā hai
Top Urdushayar.com