Indira Varma

tere KHayal ka charcha tere KHayal ki baat

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
tire ḳhayāl kā charchā tire ḳhayāl kī baat
shab-e-firāq meñ paiham rahī visāl kī baat
tum apnī chāragarī ko na phir karo rusvā
hamāre haal pe chhoḌo hamāre haal kī baat
kamāñ sī abrū kā aalam ajiib hai dekho
falak ke chāñd se behtar hai us hilāl kī baat
yahī fasāna rahā hai junūñ ke sahrā meñ
kabhī firāq ke qisse kabhī visāl kī baat
bahār aa.ī to khul kar kahā hai phūloñ ne
ye kis ne chheḌ dī gulshan meñ phir jamāl kī baat
tū apne aap meñ tanhā hai merī nazroñ meñ
kahāñ se DhūñD ke lā.ūñ tire misāl kī baat
binā talab ke atā kar rahā hai vo mujh ko
laboñ pe mere na aa.e kabhī savāl kī baat
Top Urdushayar.com