ye mausam surma.ī hai aur maiñ huuñ
magar bas ḳhāmushī hai aur maiñ huuñ
na jaane kab vo badle ruḳh idhar ko
musalsal be-ruḳhī hai aur maiñ huuñ
taġhāful par taġhāful ho rahe haiñ
kisī kī dil-lagī hai aur maiñ huuñ
tasavvur hī sahārā ban gayā hai
ajab tanhā.ī sī hai aur maiñ huuñ
ye kaisī vaqt ne badlī hai karvaT
fareb-e-zindagī hai aur maiñ huuñ
laboñ pe naam chehra hai nazar meñ
baḌī nāzuk ghaḌī hai aur maiñ huuñ
udāsī 'indirā' itnī baḌhī hai
hamesha shā.irī hai aur maiñ huuñ