aaj phir chāñd us ne māñgā hai
chāñd kā daaġh phir chhupānā hai
chāñd kā husn to hai lā-sānī
phir bhī kitnā falak pe tanhā hai
kaash kuchh aur māñgtā mujh se
chāñd ḳhud gardishoñ kā maarā hai
duur hai chāñd is zamīñ se bahut
phir bhī har shab tavāf kartā hai
bastiyoñ se nikal ke sahrā meñ
justujū kis kī roz kartā hai
kis ḳhatā kī sazā milī us ko
kis liye roz ghaTtā baḌhtā hai
chāñd se ye zamīñ nahīñ tanhā
ai falak tū bhī jagmagāyā hai
aaj tāroñ kī bazm chamkī hai
chāñd par bādaloñ kā saayā hai
raushnī phuuT niklī misroñ se
chāñd ko jab ġhazal meñ sochā hai