hazār ḳhvāb liye jī rahī haiñ sab āñkheñ
tire binā haiñ magar merī be-sabab āñkheñ
chamakte chāñd sitāro gavāh tum rahnā
lagī rahī haiñ falak se tamām shab āñkheñ
tumhāre sāmne rahtī haiñ nīm-vā hamdam
Hayā-shanās bahut haiñ ye bā-adab āñkheñ
bas ek diid kī hasrat sajā ke palkoñ par
mileñgī tum se ḳhayāloñ meñ be-talab āñkheñ
sila diyā hai mohabbat kā tum ne ye kaisā
masarratoñ meñ bhī rone lagī haiñ ab āñkheñ