sūraj huuñ chamakne kā bhī haq chāhiye mujh ko
maiñ kohr meñ lipTā huuñ shafaq chāhiye mujh ko
ho jaa.e koī chiiz to mujh se bhī ibārat
likhne ke liye saada varaq chāhiye mujh ko
ḳhanjar hai tū lahrā ke mire dil meñ utar jā
hai aañkh kī ḳhvāhish ki shafaq chāhiye mujh ko
ho vahm kī dastak ki kisī paañv kī aahaT
jiine ke liye kuchh to ramaq chāhiye mujh ko
har baar mirī raah meñ haa.il ho nayā sañg
har baar koī taaza sabaq chāhiye mujh ko
jo kuchh bhī ho baaqī vo mire haath pe likh de
mazmūn bahar-taur adaq chāhiye mujh ko
jo zehn meñ tasvīr hai kāġhaz par utar aa.e
duniyā meñ numā.ish kā bhī haq chāhiye mujh ko
har phuul ke siine meñ gul-e-sañg ho 'sājid'
har sañg meñ ik rañg-e-qalaq chāhiye mujh ko