abhī se kaise kahūñ tum ko bevafā sāhab
abhī to apne safar kī hai ibtidā sāhab
na jaane kitne laqab de rahā hai dil tum ko
huzūr jān-e-vafā aur ham-navā sāhab
tumhārī yaad meñ taare shumār kartī huuñ
na jaane ḳhatm kahāñ ho ye silsila sāhab
kitāb-e-zīst kā unvān ban ga.e ho tum
hamāre pyaar kī dekho ye intihā sāhab
tumhārā chehra mire aks se ubhartā hai
na jaane kaun badaltā hai ā.īna sāhab
rah-e-vafā meñ zarā ehtiyāt lāzim hai
har ek gaam pe hotā hai hādsa sāhab
siyāh raat hai mahtāb ban ke aa jaao
ye 'indirā' ke laboñ par hai iltijā sāhab