Indira Varma

us se mat kahna meri be-sar-o-samani tak

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
us se mat kahnā mirī be-sar-o-sāmānī tak
vo na aa jaa.e kahīñ mirī pareshānī tak
maiñ to kuchh bhī nahīñ kartī huuñ mohabbat ke liye
ishq vaale to luTā dete haiñ sultānī tak
kaise sahrā meñ bhaTaktā hai mirā tishna-lab
kaisī bastī hai jahāñ miltā nahīñ paanī tak
nāḳhudā dekh chukā kaalī ghaTā ke tevar
bādbāñ khol diye us ne bhī tuġhyānī tak
pur-ḳhatar raah mirī hone lagī hai āsāñ
ḳhauf kis kā hai bhalā terī nigahbānī tak
Top Urdushayar.com