vo ajiib shaḳhs thā bhiiḌ meñ jo nazar meñ aise utar gayā
jise dekh kar mire hoñT par mirā apnā sher Thahar gayā
ka.ī sher us kī nigāh se mire ruḳh pe aa ke ġhazal bane
vo nirālā tarz-e-payām thā jo suḳhan kī had se guzar gayā
vo har ek lafz meñ chāñd thā vo har ek harf meñ nuur thā
vo chamakte misroñ kā aks thā jo ġhazal meñ ḳhud hī sañvar gayā
jo likhūñ to nok-e-qalam pe vo jo paḌhūñ to nok-e-zabāñ pe vo
mirā zauq bhī mirā shauq bhī mire saath saath nikhar gayā
ho taḌap to dil meñ ġhazal bane ho milan to giit huuñ pyaar ke
haañ ajiib shaḳhs thā 'indirā' jo sikhā ke aise hunar gayā