Indira Varma

kuchh bala aur kuchh sitam hi sahi

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
kuchh balā aur kuchh sitam hī sahī
ishq meñ furqat-e-sanam hī sahī
jis ko chāheñ use ḳhushī de deñ
mere hisse meñ un ke ġham hī sahī
kitnī vīrān hai sadāqat bhī
but-kada gar nahīñ haram hī sahī
merī ḳhuddāri-e-vafā dekho
sar jhukāne se sar qalam hī sahī
zindagī aaj terā lutf o karam
kam agar hai to aaj kam hī sahī
jaise mumkin ho baat rakh lenā
'indirā' kā zarā bharam hī sahī
Top Urdushayar.com