Indira Varma

tamam fikr zamane ki Tal deta hai

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
tamām fikr zamāne kī Taal detā hai
ye kaisā kaif tumhārā ḳhayāl detā hai
hamāre band kivāḌoñ pe dastakeñ de kar
shab-e-firāq meñ vahm-e-visāl detā hai
udaas āñkhoñ se dariyā kā tazkira kar ke
zamāna ham ko hamārī misāl detā hai
ye kaisā raat meñ tāroñ kā silsila niklā
jo gardishoñ meñ muqaddar bhī Dhaal detā hai
bichhaḌ ke tum se yaqīñ ho chalā hai ye mujh ko
ki ishq lutf-e-sazā be-misāl detā hai
Top Urdushayar.com