Indira Varma

kash wo pahli mohabbat ke zamane aate

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
kaash vo pahlī mohabbat ke zamāne aate
chāñd se log mirā chāñd sajāne aate
raqs kartī huī phir bād-e-bahārāñ aatī
phuul le kar vo mujhe ḳhud hī bulāne aate
un kī tahrīr meñ alfāz vahī sab hote
yuuñ bhī hotā ki kabhī ḳhat bhī purāne aate
un ke hāthoñ meñ kabhī pyaar kā parcham hotā
mere rūThe hue jazbāt manāne aate
bārishoñ meñ vo dhanak aisī nikaltī ab ke
jis se mausam meñ vahī rañg suhāne aate
vo bahāroñ kā samāñ aur vo gul-posh chaman
aise māhaul meñ vo dil hī dukhāne aate
har taraf dekh rahe haiñ mire ham-umr ḳhayāl
raah taktī huī āñkhoñ ko sulāne aate
Top Urdushayar.com