Indira Varma

dil ke bechain jaziron mein utar jaega

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
dil ke bechain jazīroñ meñ utar jā.egā
dard aahoñ ke muqaddar kā pata lā.egā
mere bichhḌe hue lamhāt sajā kar rakhnā
vaqt lafzoñ meñ ġhazal ban ke Thahar jā.egā
us kī har baat jafā-pesha huī hai aksar
zaḳhm kā ḳhauf kabhī us ko bhī dahlā.egā
vaqt ḳhāmosh hai TuuTe hue rishtoñ kī tarah
vo bhalā kaise mire dil kī ḳhabar pā.egā
shām-e-ġham aaj bhī guzrī hai hasīñ ḳhvāboñ meñ
ġham-e-jānāñ to mohabbat meñ sitam Dhā.egā
dil mirā aaj jafāoñ pe bahut nāzāñ hai
mere hoñToñ pe tabassum hī nazar aa.egā
us ke mizrāb se jab raag baneñge dīpak
megh chupke se mire dil pe baras jā.egā
Top Urdushayar.com