Qayyum Tahir

ek nashtar sa rag-e-jaan mein utarne dena

Qayyum Tahir

1952
ek nashtar sā rag-e-jāñ meñ utarne denā
zinda rahnā hai to zaḳhmoñ ko na bharne denā
aur kuchh der na ai tez havāo thamnā
jitne bosīda haiñ safhāt bikharne denā
terī pahchān kī ik qaus alag ban jaa.e
apne lahje ko zarā aur sañvarne denā
chhū ke dekheñge to phir un se bhī nafrat hogī
āsmānoñ ko zamīñ par na utarne denā
merī bīnā.ī ke sab diip bujhā kar jaanā
sānehe saare mirī jaan guzarne denā
dekhnā ḳhvāb-zamīneñ na huuñ banjar 'qayyūm'
apnā ye dard ye āshob na marne denā
Top Urdushayar.com