Qayyum Tahir

dikhae gard ke KHeme pa ghar nahin likkha

Qayyum Tahir

1952
dikhā.e gard ke ḳheme pa ghar nahīñ likkhā
safar to sauñp gayā vo shajar nahīñ likkhā
vo āshnā mujhe paanī se kar ke lauT gayā
kisī bhī lahr meñ jis ne guhar nahīñ likkhā
bashārateñ thiiñ ki poroñ kī samt aatī thiiñ
magar ye haath ki jin meñ hunar nahīñ likkhā
ajab gumān the qaus-e-nigāh meñ us kī
khañDar se shahr ko is ne khañDar nahīñ likkhā
har ek rut kī duā bhī havā bhī aa.ī thī
ye bāñjh peḌ ki in par samar nahīñ likkhā
us ek lafz kī siskī mujhe rulātī hai
vo ek lafz jise jaan kar nahīñ likkhā
Top Urdushayar.com