bas ek hijr ke mausam kā rañg gahrā thā
har ek rut ko chakhā thā barat ke dekhā thā
us ek lamhe meñ kitnī qayāmateñ TūTīñ
bas ek lamhe ko tere asar se niklā thā
koī charāġh bhī raḳht-e-safar meñ rakh lete
safar meñ raat bhī aa.egī ye na sochā thā
ḳhud apne-āp ko chhūne kā hausla na rahā
ki mere jism pe merā hī ḳhuun phailā thā
vo aaj mujh se milā hai to kitnā banjar hai
jo apnī aañkh meñ sāvan ke rañg rakhtā thā
na us kī chhāñv thī merī na phuul the mere
shajar thā sehn meñ apne magar parāyā thā
vo sāhiloñ pe paḌā ab ḳhalā ko taktā hai
jo pāniyoñ meñ utartā thā siip chuntā thā
aTā hai dhuul se kamra hai taaq bhī suunā
kabhī gulāb saje the charāġh jaltā thā