Qayyum Tahir

ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai

Qayyum Tahir

1952
ishq aur ishq ke ādāb kā kyā karnā hai
tū nahīñ hai to kisī ḳhvāb kā kyā karnā hai
jab tirā naam mire naam ke saath aayā nahīñ
harf kā lafz kā eraab kā kyā karnā hai
ab samundar hai na par haiñ na shab-e-chār-dahum
ab tirī aañkh ke mahtāb kā kyā karnā hai
ik yahī chādar-e-hijrāñ mujhe de kar us ne
kah ke ruḳhsat kiyā asbāb kā kyā karnā hai
katraneñ rañj kī sāñsoñ meñ girah Dāltī haiñ
ab kisī resham-o-kim-ḳhvāb kā kyā karnā hai
āsmāñ chashm barābar bhī na taarā koī
ab batā rauzan-e-ḳhush-tāb kā kyā karnā hai
Top Urdushayar.com