vahāñ sāhiloñ pe bashāratoñ kā charāġh bhī hai jalā huā
yahāñ haath mere bañdhe hue mirā bādbān chhidā huā
ga.ī sā.atoñ kī talāsh meñ mirā harf harf bikhar gayā
kahīñ tere naam kā sher bhī thā bayāz-e-jāñ pe likhā huā
mirī por por pe titliyāñ ka.ī rañg chhoḌ ke jā chukīñ
tire zikr kā koī phuul thā mare rat-jagoñ meñ khilā huā
use ret ret meñ khojnā use lahr lahr meñ DhūñDhnā
koī shahd sā tirā ahd thā inhī sāhiloñ pe likhā huā
na.e mausamoñ ke ḳhirām bhī na.e lams raas na aa sake
maiñ ye e'tirāf kahāñ karūñ tirā mo'tabar thā kahā huā
kisī mor-nāch kā rañg bhī tirī aañkh ko na lubhā sakā
koī zard zard sā ḳhvāb thā tirī putliyoñ meñ khudā huā
kisī aur ufuq kī sadāoñ par vo udaas guuñj chalī ga.ī
mirī jhiil aañkh na sochnā kabhī aa sakā hai gayā huā
kisī hijr-shāl kī dhajjiyāñ mujhe sauñp kar vo kahāñ gayā
vo dhanak dhanak se katā huā vo kiran kiran se bunā huā