har ek rañg har ik ḳhvāb ke hisār meñ tū
ki āñsuoñ kī tarah chashm-e-intizār meñ tū
udaas raakh se manzar ke ek shahr meñ maiñ
na.e jahān kī ik sub.h-e-zar-nigār maiñ tū
meñ itne duur ufuq se pare bhī dekh aayā
milā to jism par bikhre hue ġhubār meñ tū
meñ zaḳhm zaḳhm ḳhizāoñ ke biich zinda huuñ
numū-pazīr bahāroñ ke rañg-zār meñ tū
ki terā naam to jalte diyoñ kī lau meñ hai
tū bāñsurī kī har ik taan meñ pukār meñ tū
ye rahguzar to tamāzat ke shahr ko jaa.e
kahīñ jale na bahishtoñ ke e'tibār meñ tū
mujhe bachā le ta.āqub se zard mausam ke
mujhe chhupā le panāhoñ ke sabz ġhaar meñ tū