havā meñ nauhe ghule durd mish.aloñ meñ rahā
bahut ajiib sā dukh thā ki bastiyoñ meñ rahā
tamām peḌ the sāhil pe aag kī zad meñ
mire qabīle kā har fard pāniyoñ meñ rahā
bahut dilāse diye ham ne shab-gazīda ko
magar vo shaḳhs ki din meñ bhī vasvasoñ meñ rahā
vahī thā āḳhirī nuqta mirī lakīroñ kā
har ek qaus meñ vo saare zāviyoñ meñ rahā
ye jānte bhī ki saarā safar ḳhalā kā hai
balā kā hausla TuuTe hue paroñ meñ rahā
bharī bahār hare ḳhvāb ke gulāb liye
tamām umr maiñ ujḌī huī rutoñ meñ rahā
qarīb aa.e to sūraj bhī bujh ga.e 'qayyūm'
siyāh barf kī sūrat lahū ragoñ meñ rahā