Qayyum Tahir

gham-qirtas pe apne karb ki baaten likhte rahna

Qayyum Tahir

1952
ġham-qirtās pe apne karb kī bāteñ likhte rahnā
hijr-kitāb ko paḌhte rahnā sharheñ likhte rahnā
phir yuuñ hogā ik gum-gashta chehrā sāmne hogā
ḳhvāboñ kī dīvār banānā āñhkeñ likhte rahnā
itnā karnā apnī soch kī aan na bikne detā
din kī din hī aur rātoñ ko rāteñ likhte rahnā
aisā vaqt na aane denā sūkheñ soch-samundar
lahroñ se āvāz milānā maujeñ likhte rahnā
bāhar ke is shor meñ terī bāteñ dab jaa.eñ to
andar se jo aatī haiñ āvāzeñ likhte rahnā
'tāhir'! un be-bas lamhoñ kā ahd nibhānā hogā
us ne kahā thā ḳhat mat likhnā ġhazleñ likhte rahnā
Top Urdushayar.com