Bashir Saifi

ek husn-e-be-misal ke jo ru-ba-ru hun main

Bashir Saifi

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1948-2000
ik husn-e-be-misāl ke jo rū-ba-rū huuñ maiñ
mahsūs ho rahā hai ḳhud apnā adū huuñ maiñ
apnī giraft-e-shauq se niklūñ to kis tarah
phailā huā jahāñ meñ har ek sū huuñ maiñ
mujh pe tirī hayāt kā dār-o-madār hai
jazboñ se jhāñktā huā zinda lahū huuñ maiñ
gūñjūñgā tere zehn ke gumbad meñ rāt-din
jis ko na to bhulā sake vo guftugū huuñ maiñ
har sub.h ek ma.arka-e-karbalā sahī
har shaam apne dostoñ meñ surḳh-rū huuñ maiñ
pūchhūñ maiñ kis se ālam-e-imkāñ meñ kis liye
apne hī naqsh-e-pā kī tarah kū-ba-kū huuñ maiñ
'saifī' meñ apne aap meñ nīlām ho gayā
kis ko ḳhabar thī shahr meñ ik ḳhūb-rū huuñ maiñ
Top Urdushayar.com