gaḌe mardoñ ne akasr zinda logoñ kī qayādat kī
mirī rāhoñ meñ bhī haa.il haiñ dīvāreñ qadāmat kī
na.ī kirneñ purāne āsmāñ meñ kyuuñ jagah paa.eñ
vo kāfir hai ki jis ne chaḌhte sūraj kī ibādat kī
purānī sīḌhiyoñ par maiñ na.e qadmoñ ko kyuuñ rakhūñ
girā.ūñ kis liye chhat sar pe bosīda imārat kī
tirā ehsās bhī hogā kabhī merī tarah patthar
nikal jā.egī ā.īne se parchhā.īñ nazākat kī
vo merā but thā jis ko maiñ ne apne haath se toḌā
ki barsoñ kī ye mehnat ek lamhe meñ akārat kī
agar hai naam kī ḳhvāhish to dīvāroñ pe chaspāñ kar
banā kar jhuuT ke rañgoñ se tasvīreñ sadāqat kī
abhī sīnoñ meñ lahrāte haiñ merī yaad ke parcham
abhī tak sabt haiñ mohreñ diloñ par bādshāhat kī
abhī sab harf taaza haiñ mukartā kyuuñ hai ma.anī se
syāhī ḳhushk bhī hone nahīñ paa.ī ibārat kī
koī mīThe phaloñ kī aas meñ kyuuñ talḳh din kaaTe
kise fursat hai 'sājid' āj-kal sabr-o-qanā.at kī