Bashir Saifi

habs ke dinon mein bhi ghar se kab nikalte hain

Bashir Saifi

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1948-2000
habs ke dinoñ meñ bhī ghar se kab nikalte haiñ
dā.ere ke andar hī rāste badalte haiñ
ḳhuun jaltā rahtā hai gaañv ke javānoñ kā
kār-ḳhāne shahroñ ke kab dhuāñ ugalte haiñ
tere naam kā taarā jaane kab dikhā.ī de
ik jhalak kī ḳhātir ham raat bhar Tahalte haiñ
ab safar koī bhī ho maiñ kahāñ akelā huuñ
tere chāñd sūraj bhī saath saath chalte haiñ
ain dopahar meñ bhī sar pe terā saayā hai
tujh ko bhuul jaa.eñ to chāñdnī meñ jalte haiñ
khul ga.e haiñ phir shāyad rahmatoñ ke darvāze
hādse kahāñ varna Tālne se Talte haiñ
niiñd ke nagar se to rābta nahīñ TuuTā
fikr-e-sher meñ 'saifī' karvaTeñ badalte haiñ
Top Urdushayar.com